Garmi Ka Ilaaj: Kairi Ka Khatta Meetha Sharbat | 5 Minute Mein Lo Lagaar


 Assalam-o-Alaikum!


kashmir mein garmi aate hi Dadi kehti theen "Beta lo lag jaye gi, kairi ka sharbat piyo" ❤️


Ye hai mera pahari nuskha. 1 glass pee lo, garmi, sar dard, ultiyan, sab gayab. AJK ki aurton ka 100 saal purana raaz.


**Saman:**

1. Kachi Kairi – 2 adad, ubli hui

2. Pudina – 10 pattay

3. Bhuna Zeera – 1 chamach

4. Kala Namak – 1 chamach

5. Cheeni/Gur – 4 chamach, zaiqay ke mutabiq

6. Thanda Paani – 3 glass

7. Baraf – zaroorat ke mutabiq


**Tareeqa:**

1. Ubli kairi ka gooda nikaal lo.

2. Sari cheezein blender mein daal ke 1 minute chalao.

3. Chhan lo taake resha nikal jaye.

4. Thanda thanda baraf daal ke peeyo.


Tayyar hai. Garmi mein 2 glass piyo, AC ki zaroorat nahi pare gi 😂


Aap garmi ka ilaj kya karte hain? Comments mein zaroor batana. Shukriya ❤️

Comments

  1. Replies
    1. Mujhe to bohot pasand hai ❤️ Garmi ka behtareen ilaaj hai.
      Aap bhi zaroor bana ke dekhna aur batana kaisa bana.
      Shukriya!

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Peshawar ki Mashoor chicken karahi Recipe | Ghar pe Banane Ka Asaan Tarika

5 Min Mein Saalan Taiyyar 😱 Ghar Mein Sabzi Na Ho To Ye Banao!

Bazar Walay 250 Rupay Lut Tay Hain | Ghar Pe 10 Rupay Mein Dahi Bhallay