Kashmiri Pink Chai Recipe | Authentic Noon Chai Azad Kashmir Style
Assalam-o-Alaikum! ❤️
Aaj main Azad Kashmir ki mashoor Kashmiri Pink Chai ki recipe share kar rahi hun. Sardi mein ye chai peene ka apna hi maza hai ☕
**Saman:**
- 2 Glass pani lo osko khob opal do taa k 2.3 cup reh jaye pani k
- 2 tsp Kashmiri tea leaves
- 1/4 tsp baking soda
- 3 cup doodh
- Namak hasb-e-zaiqa
- Badam pista garnish ke liye
**Tareeka:**
1. Pani mein chai ki patti aur baking soda daal ke 20 min pakaein
2. Jab rang dark ho jaye to doodh daal dein
3. Namak daal ke 5 min pakaein
4. Gulabi rang aa jaye to cup mein nikal lein
5. Upar badam pista daal ke serve karein
Maa kehti hain asal Kashmiri Chai mein sabar chahiye 😊 Aap bhi bana ke batayein kaisi bani ❤️
- Iffat, Azad Kashmir

Comments
Post a Comment